TOP

WO Sunta To Main Kehta


WO Sunta To Main Kehta
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

Wo Pal Bhar Ko Jo Ruk Jata
Mujhe Kuch Kehna Tha.

Kamai Zindagi Bhar Ki
Usi K Naam To Kar Di

Mujhe Kuch Aur Karna Tha
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha.

Kahan Us Ne Suni Meri
Suni B Un-Suni Kar Di

Usay Maloom Tha Itna
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha.

Meray Dil Main Jo Dar Aya
Koi Mujh Main B Dar Aya

Waheen Ik Rabta Toota
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha.

Rawan Tha Piyar Nus Nus Main
Bohat Qurbat Thi Apis Main

Usay Kuch Aur Sun-Ana Tha
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha.

Ghalat Fehmi Ne Batoun Ko
Barha Dala Younhi Warna

Kaha Kuch Tha Wo Kuch Samjha
Mujhe Kuch Aur Kehna Tha

0 comments:

Post a Comment