TOP

Ager Main Bata Dun Main Kia Chahta Hun


Ager Main Bata Dun Main Kia Chahta Hun
Nazron Se Apni Gira To Na Do Gey

Jo Main Chahta Hun Woh Tum Bhi Na Chaaho
Mujhe Koi Karri Si Sazza To Na Do Gey

Main Muhabbaton Mein Jabbar Ka Qaail Nahin Hun
Dil Laga Ker Mujhe Bhula To Na Do Gey

Jo Main Bata Dun Mere Mann Mein Kia Hai
Tum Jahan Mein Tamasha Bana To Na Do Gey

Darta Hun Tumse Raaz-e-Dil Sunaate
Tum Hanssi Mein Baat Uraa To Na Do Gey

Ager Main Bata Dun Main Kia Chahta Hun
Waffaon K Badley Jaffaa To Na Do Gey

Aur Mujh Hi Se Daaman Churra To Na Lo Gey
ager mein batadoon k mein kya chahta hoon


0 comments:

Post a Comment