TOP

Bicher jayein gai hum lekinBicher jayein gai hum lekin


Hamari yaad k jugnu

Tumhari shab k daman mein sitare ban k chamke gai

Tumhein bechain rakhe gai

Bare masroof rehne k 

Tum bahane banao gai

Bohat koshish karo gai tum

K ab k mausam jo badlein

Hamari yad na aye

Magar aisa nahi ho ga

Kahin jo sard mausam mein

Mere mazi ko socho gi

To ankhein bheeg jayein gi

Bicher jao magar

Sun Lo

Hamare darmyian aisi koi to baat bhi ho gi

Jisse tum yad rakho gai

Jisse tum yad rakho gai

0 comments:

Post a Comment